Monday, 25 July 2011

bAchpan(part 2)

Chaliye aaj fir hum apne bachpan ka safar shuru krte hain, hum sabhi is bachpan numa yug se gujar chuke hain, isliye ye sirf mere akele ki kahani nhi hai, balki aap sab logon ki kahani bhi hai,yaad kariye jab bachpan mein aapne pehli baar aapne haaton se ek white paper pe kuch tedhi-medhi lines draw ki hungi aur apni poori craetivity us white papr pr utaar di, bachpan yaad dilta hai mjhe us pyarae se ehsaas ko jab mjhe mere jeevan ki ksi bhi aane wali pareshaniyon ke chinta na thi, tha to bas main aur mera bachpan. Bachpan kabhi-kabhi mjhe ek bani bnayi filmo se kam nahi lagta, jeevan mein jab ek baccha janm leta hai, tab use nhi pta ki wo hai kaun, yahn tak ki poore sansaar ke liye wo anjaan hai, kintu kch samay baad jab wo baccha apne jeevan ko samajhna shru krta hai to ek din wo he baccha apne khelo ka maahir ban jata hai. Zindagi sikhati hai kosis krte rehna, chahe kitna he kyun na giro,utho-giro,taaki ek din apne lakshaya ki prapti kr sako. yahi to sikhata hai hume hmara bachpan, jo ki ek ke baad ek prehsaaniyon ko jhelta hua aage badhta gya aur apne lakshaya ko paane ki kosis krta rha. Yahi hai bachpan ka arth...!!!

No comments:

Post a Comment